Sayyare, sayyare Pyare pyare sayyare Ye zameen ke hain taare Inko khul ke chamakane toh do
Sayyare sayyare, sayyare sayyare Yeh andheron mein kyun kho gaye Sayyare sayyare, ye taare ye taare Door khushiyon se kyun ho gaye
Jhilmil karte saare hain Rangon ke ye dhaare hain Berang hain, kyun berang hai Nanhe se parindey hai Udne ke chaahat mein ye Bezaar hain, kyun bezaar hain
Ummeed ka ek raasta dikhaao Inn laadlon mein roshni jagaao Tum thaam lo haath ye masoom sa
Sayyare, sayyare Yeh andheron mein kyun kho gaye Sayyare, ye taare Door khushiyon se kyun ho gaye
Haathon ki laqeeron se Roothi si taqdeeron se Hairaan hai, ye hairaan hai
Manzil ke thikaane se Khud ko aazmaane se Anjaan hai, ye anjaan hai
Chehre se inke dhool to hataao Inke dilon mein aarzoo basaao Tum thaam lo haath ye masoom sa
Sayyare sayyare, sayyare sayyare Yeh andheron mein kyun kho gaye Sayyare sayyare, ye taare ye taare Door khushiyon se kyun ho gaye
Hmm…
No comments:
Post a Comment