Sheher ke ik mod par Kadmo ki lakhon aahaton ke baad bhi Patthar ke tu tukdo mein se Jab jhakati hai ik nanhi si kali
Yeh us sheher ke shor par Chup chap si ek jeet hai Nazare ghuma kar dekhiye
Har mod par umeed hai Har mod par umeed hai
Din bhar sunke sapno ki baatein Ginati hai aakhein raaton mein yaadein In palko ki thakaan mein bhi umeed hai Zinda maange ji zara thaamiye na apni nazar Aur us kali par modiye
Mitti ka dil tute agar sone se usko jodiye Yeh zindagi ke shor par chup chap si ek jeet hai Nazare ghuma kar dekhiye
Har mod par umeed hai Har mod par umeed hai Har mod par umeed hai Har mod par umeed hai
Kabhi saamne aaye jo dar Gungunaiye daastan.. Kashti koi ban paaye to Paani mein bhi hai raasta Ye falsafon ki bheed mein Gumnaam si ek jeet hai Nazare ghuma kar dekhiye Har mod par umeed hai
Nazare ghuma kar dekhiye Har mod par umeed hai
Har mod par umeed hai Har mod par umeed hai Har mod par umeed hai Har mod par umeed hai.
No comments:
Post a Comment