Dil ki class ki ghanti jo baji Aayi yaadein wo saari daud ke Kisse phir mile, haan rakh loon main unhe Kuch panne kitaabon ke mod ke
Phir se wo gali Hai tu le chali Toh theharu main thoda sa yahi
Hoon ruka haan haan zindagi Tu badha haan haan zindagi Hoon galat toh bata zindagi De de sach ka pata zindagi
Ho pyaare the, bharam bhi Hum thode besharam bhi Na koi thi sararat aakhiri
Bachpane mein jo sataaye The saamne par bhulaaye Unn yaaron se jebe phir bhari
Hoke rubaru, ab aakhon mein bharu Wo lamhe jo jiye the kabhi
Ab bhale tu sata zindagi Maaf teri khata zindagi Le main phir se chala zindagi Kyun ruka tha bhala zindagi
No comments:
Post a Comment