Ho sakta hai kar bada Ho sakta hai lad zara Ho sakta hai na rukna tu Ho sakta hai x (2)
Aaj main bata doon tumko Gehra sa ek raaz Jismein ghar mein hoti takleef Karte mehnat din raat Sath chhoda tera yaaron ne Bandi ne chhoda hath Yeh koyi badi problem nahi hai Yeh sirf chhoti si hai baat
Sunn sunn meri baat Na hum Hindu Musalman Dharm jaat ke iss naam pe Kyun lete sabki jaan Hum bhi to hain ek insan Phir kyun bante hain shaitaan Agar ban’na hai mahaan To band kar do apne kaan Aur laga do thoda dhyan apne kaam pe
Agar jeena hai to jiyo Thoda shaan se Chalo chhodo is baat ko Badalte hain halaat ko Isse bhi badi problem hai Aao milke usko jaan lo
Haan ladenge hum milke iss tufaan se Har burai ko mita denge aaram se Tu chhod chhoti takleefein Tere sapne aasmaan mein Yeh desh hai tere kandhe pe Kar sakta hai tu jaan le
Ho sakta hai Teri soch ko badha Ho sakta hai Chhoti baaton pe adaa Ho sakta hai na rukna tu Ho sakta hai Ho sakta hai kar bada Ho sakta hai lad zara Ho sakta hai na rukna tu Ho sakta hai
Desh ko bacha liya Duniya ka kya karega Tu darta un darindon se Ab kab tak tu darega Is is terrorist ka naam Jab tu duniya se mitayega Duniya ke har kone mein Khushiyon ka baadal chhayega
Chal uthkar ab tu saans le Par saans le kis munh se Dhuan hai poori duniya Jaise baadal hai zamin pe Zamin se thoda upar dekh Upar mein bhi ek jhol hai Hamare karmon se aaya Ozone mein bhi ek hole hai
Chal ozone ko bhi chhod de Ucha bhi thoda soch le Yeh system jo solar ki Usmein bhi kitne mod hain Ek chhota comet aayega Poori duniya ko udayega Tab kitni teri soch Aur kaise tu bachayega Bol kaise tu bachayega Ek chhota comet aayega Bol kaise tu bachayega Haan kaise tu bachayega
Tu thoda upar jaayega To galaxy mein aayega Iss galaxy mein jhaankega To khud ko kahan payega Yeh black hole hai bhai Tu dhansta chala jayega Iss moch jaisi soch mein Tu phansta chala jayega Phir kitni saari galaxy se Banta yeh brhamaand hai Ho sakta hai brhamaand Kisi planet ki ek boond hai Jab boond hi brhamaand Teri soch kitni chhoti hai Teri soch ko badha le Yeh kar sakta hai tu jaan le
Ho sakta hai Teri soch ko badha Ho sakta hai Chhoti baaton pe adaa Ho sakta hai na rukna tu Ho sakta hai Ho sakta hai kar bada Ho sakta hai lad zara Ho sakta hai na rukna tu Ho sakta hai Ho sakta hai Ho sakta hai Ho sakta hai Ho sakta hai
No comments:
Post a Comment