Ek siwa tere main kya sochu Ab siwa tere main kya dekhu Tu mujhme itna bikhra hai Rooh tak tu meri utra hai Meri chahat ka ye vaada hai Tu mujhme mujhse jyada hai
Ek siwa tere main kya sochu Ab siwa tere main kya dekhu Tu mujhme itna bikhra hai Rooh tak tu meri utra hai Meri chahat ka ye vaada hai Tu mujhme mujhse jyada hai
Bekhudi ka tu sahara Ban gaya hai in dino Tu tasalli ka kinara Ban gaya hai in dino
Ab tujhe paake mein kya chaahun Bas tera hoke jiye jaaun Tu meri subah ka taara hai Khali raaton ka guzara hai Meri chaahat ka ye vaada hai Tu mujhme mujhse jyada hai
Meri har ek saans Teri saans se ab jud gayi Behte behte meri dhadkan Teri tarfa mud gayi
Main tera saaya sada paoon Khud mein kuch har pal naya paoon Dil fida tujh par hamara hai Teri khatir sab gawara hai
Meri chahat ka ye vaada hai Tu mujhme mujhse jyada hai Tu mujhme mujhse jyada hai
No comments:
Post a Comment